Abhi Yum Ishq Mat Karna.. BY Ahmad Raza Raja

Abhi Tum Ishq Mat Karna,, "
Abhi Guriya Se Khelo Tum,,
Tumhari Umar Hi Kiya Hai,,
Faqat "17" Baras Ki Ho,,
Abhi Masoom Bachi Ho,,
Abhi Kanoon Ki Kachi Hi Ho,,
Abhi Tum Ne nahin Daikha,,
K Jab Sathi Bicharty Hain,,
To Kitny Dard Milty hain,,
Har Ik Furqat K Mousam Main,,
Hazaroon Gham Ubharty Hain,,
Hazaroon Zakham Khilty Hain,,
" ABHI TUM ISHQ MAT KARNA "
Abhi Paky Marasim K !
Aazaboon Se Nahin Guzri,,
Suno Larki MEri Maano !
Parhai PAr Tawaja Do,,
Kitaboon Main Gilaboon Ko,,
Kabhi Bhooly Se Mat Rakhna,,
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi,,
Yeh Kaantoon Ki Trah Dil Main,,
Chubhain Gy,, Khoon Bahain Gy,,
Tumhain Pehroon Rulain Gy,,
Meri Nazmain NAhin Parhna,,
Yeh IK MEhshar Utha Dain Gi,,
Tumhain PAgal Bana Dian Gi,,
Suno Larki! Muqaddar Se !
Abhi Tum Khul K Matt LArna,,
Abhi Guriya Sy Khelo Tum,,
" ABHI TUM ISHQ MAT KARNA "
Poet:
AHMAD RAZA RAJA
      +92-313-6309247

..Pray For KARACHI..

Aao KArachi Ki Tum Ko Sunaaon Kahani..

Yehi Shehar Tha Jo Sota Nahn Tha..

Andhera Mohallon Main Hota Nahin Tha..

Bus'on Ki Sada Sone Deti Nahin Thi..

Ye Samjho Yahan Raat Hoti Nahin Thi..

Woh Thelloon Py Bikti Hui Moong Phaliaan..

Bari Dair Tak Jagti Thien Yeh Galliyaan..

Yahan Rehnay Walon Main tha Bhai Chara..

Jo Dushman Ko Hargiz Nahin Tha Gawara..

Hui Phir Hamary Khilaaf Aek Saazish..

Thamin Hi Nahin Jab Sy Lashoon Ki Baarish..

Ujarta Raha Phir Hamara Karachi..

Gharon Main Yahan Maut Ja Ja K Naachi..

Hai Ab Charoon Taraf Ghup Andhera..

Bachen Gy To Daukhen Gy Kal Phir Sawera..



+923136309247
Dekho Lo Khowab Mager Khowab Ka Charcha Na Karo
Log Jal Jaye Gaye Sooraj Ki Tamanah Na Karo

Waqt Ka Kia Hay Kesi Pal Bhi Badal Sakta Hay
Ho Sakay Tum Say Tu Tum Mujh Pay Bharosa Na Karo

Kirchiyaan Tootay Howay Aks Ki Chub Jaye Gi
Or Kuch Roz Abhi Aaina Dekha Na Karo

Ajnabi Lagnay Lagay Khud Tumhay Apna Wajood
Apnay Din Raat Ko Itna Bhi Akela Na Karo

Khowab Bachon Kay Khilono Ki Tarah Hotay Hain
Khowab Dekha Na Karo Khowab Dekhaya Na Karo

Be - Khayali Main Kabhi Ungliyaan Jal Jaye Gi
Raakh Guzray Howay Lamho Ki Kuraidaa Na Karo

Ye Jo Ham Main Tum May Hay Rabta

KHUDA Karay Ye Sada Rahay

Ye Charag Hay Tu Jala Rahay

Ye Phool Hay Tu Khila Rahay

Tujhay Naseeb Ho Muskurahatain

Teray Pass Tera Habeeb Ho

Tu Jaha Rahay Sukhi Rahay

Teray Saath Meri Dua Rahay

Tu Dua Karay Tu Qabool Ho

Jo Wafa Karay Tu Wasool Ho

Koii Ghum Na Teray Qareeb Ho

Tera Jeewan Khushi Say Bhara Rahay

Tu Jaha Chalay Saba Chalay

Tu Jaha Rukhay Bahaar Ho

Teri Jis Taraf Bhi Uthay Nazar

Wahi Mousam -e- Gul Khila Rahay


+923136309247

Wo jazbon ki tejarat ye dil kuch aur samja tha

usey hansne ki aadat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje us ne kaha aao nai dunya basate hain

usey soojhi shararat thi ye dil kuch aur samja tha,

Hamesha us ki ankhon main dhanak se rang hote thy

ye us ki aam halat thi ye dil kuch aur samja tha,

Wo mery paas bethi der tak ghazlen meri sunti

usey khud se mohabat thi ye dil kuch aur samja tha,

Mery kandhe per ser rakh ker kahin per kho gae thi wo
ye ik waqti enayat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje wo dekh ker aksar nigahen pher leti thi

ye dar_e_ parda haqarat thi ye dil kuch aur samja tha..!
Khudd Ko Parh'ta Hoo'n Choar'h Daitta Hoo'n

Ik Waraq Roaz Moar'h Daitta Hoo'n

Iss Qaddar Zakham Hai'n Nigahoo'n Mai'n

Roaz Ik Aainna Toar'h Daitta Hoo'n

Mai'n Pujjari Barastay Phooloo'n Ka

Choo Kay Shakhoo'n Ko Choar'h Daitta Hoo'n

Kassa-E-Shabb Mai'n Khoon Sooraj Ka

Qatra Qatra Nichoor'h Daitta Hoo'n

Kaanptay Hoant Bheegti Palkai'n

Baat Adhoori Hi Choar'h Daitta Hoo'n

Rait Ke Ghar Banna Banna Kay Faraaz

Janay Kiyoo'n Khud Hi Toar'h Daitta Hoo'n
mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa

meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa

meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi

abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e- jafa mila

na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye

meri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa

jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi

ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon

na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa

merey aik gosha-e fikr main, meri zindagi sey aziz tar

mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila

kaheen khoon-e dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa

mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha

kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa

humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah umr guzar gae

koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa
KAHIN BEKANAAR SE RATJAGE,KAHIN ZARNIGAR SE KHUWAB DE!

TERA KIA USOOL HAI ZINDAGI?MUJHE KON IS KA JAWAB DE!

JO BICHA SAKUN TERE WAASTE,JO SAJA SAKEN TERE RAASTE,

MERI DASTARAS MAIN SITARE RAKH,MERI MUTHIYON KO GULAAB DE.

YEH JO KHUWAHISHON KA PARAND HAI,ISE MAUSAMON SE GARZ NAHI

YEH UREGA APNI HI MAUJ MAIN,ISE AAB DE K SARAAB DE!

TUJHE CHOO LIA TO BHARAK UTHE,MERE JISM-O-JAA'N MAIN CHIRAAG SE

ISI AAG MAIN MUJHE RAAKH KAR,ISI SHAULGI KO SHABAAB DE.

KABHI YUN BHI HO TERE RUBAROO,MAIN NAZAR MILA KE YEH KEH SAKUN

"MERI HASRATON KO SHUMAR KAR,MERI KHUWAHISHON KA HISAAB DE!"

TERI EK NIGAAH KE FAIZ SE MERI KISHT-E-HURF CHAMAK UTHE

MERA LAFZ LAFZ HO KEHKASHAA'NMUJHE EK AISI KITAAB DE.
Us ki Bataein rothi rothi

Jis ka Lehja metha metha hei

Us ki Ankh samundar jaisi

jis ki Zaat mei sehra hai

Raat say Gehri soche us ki

Jis ka Rang Sunhera hai

Phool or Kaliyan Chunney wala

khud kion Bikhra Bikhra hai

Chand se Baatein karnay wala

Dekho kitna TANHA hai~!!
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...

chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...

or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya....

jane kya us ko loghon se thi shikayatein....

tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya...

khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya...

mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya
jee ka rog niralaa hai..
jab yeh kisi ko holay hai,
taaron ke sang jaage hai....
ashqon ke sang solay hai .
baad-e-sabaa deewani hai....
gulshan-gulshan dolay hai.
kis jalwe ko dhoonde hai...
ghunghat ghunghat kholay hai.

os badee deewani hai..
dasht main moti rolay hai.
chaand badaa shaudaai hai....
dhoodh main heere dholay hai.

Dil apna mastanaa hai...
rahbar-rahzan kya jaane.
jo bhi dhab se baat kare...
saath useekay holay hai.

iss tiflon ke mele main....
khel-khilonay bikte hain.
aansoo kaun khareedega...
kyon palkon par tolay hai.

yeh to'sukhan' deewanaa hai..
. iski baatein kaun sunay.
'faiz'-o-'firaaq' ki mehfil main....
'mir' ki boli bolay hai!!!!!!!!!!!! 

Aatii hai chahton ki kahani pe ab hansi...

Tum say bichar k soch k rukh bhi badal gaye..

Ab tum ko daikh ker bhi dharakta nahee hai dil..

Tum woh nahee rahay keh meray dukh badal gaye ... 


+923136309247
Zindagi ab be-wafa si lagti hai

Pass reh ker Juda si lagti hai

Mein Tumhare Baghair Bhi Ji Loon Ga

Yeh Duaa Bud-Duaa si Lagti Hai

Naam us ka Likha Hai Ankhon Par

Aansoon ki Khata Si lagti hai

Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai

PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shaid

Aaj DUNiYA khafaa Si Lagti Hai ~!!

Tum Mohabbat bhi Mosam Ki Tarha Nibhatey Ho,

Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsatey Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Mukar Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,

Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,

Miloon To Paas Se ChupChaap Guzar Jatey Ho !!! 
Karo jo baat karni hai

Agar is aas par baithay kay duniya

Bas tumhain sunay ki khatir

Gosh bar awaz ho kay baith jai gi

To aisa ho nahin sakta

Zamana aik logon say bhara foot path hai jis par

Kisi ko aik lamhay kay liyay rukna nahin milta

Bithao lakh tum pehray

Tamasha gah-e-aalam say guzarti jai gi khalqat

Bina daikhay bina tahray

Karo jo baat karni hai..
roshni mizaajon ka,
kya ajab muqadar hay..
zindagi k rastay main,
bichnay waalay kaanton ko..
raah say hataanay main,
aik aik tinkay say,
aashiyaan banaanay main,
khushboo'ain pakarnay main,
gulsitaan sajaanay main,
umr kaat detay hain..
or apnay hissay k phool baant detay hain..
kaisi kaisi khwaahish ko qatl kartay jaatay hain,
dar-guzar k rastay main abr kiye rehtay hain,
sabr k samandar main kashtiyaan chalaatay hain..
yeh nehi k in ko es roz-o-shab ki kaahish ka,
kuch silaa nehi milta..
marnay waali aason ka khoo'n bahaa nehi milta!
zindagi k daaman main jis qadar bhi khushiyaan hain,
sub he haath aati hain..
sub he mil bhi jaati hain..
waqt par nehi miltee'n..

Main logon se mulaqaton k lamhay yaad rakhti hon

Main batain bhool bhi jaon tu lehjay yaad rakhti hon

Sar-e-mahfil nighain mujh pe jin logon ki parti hain

Nighaon k ma'ni se wo chehray yaad rakhti hon

zara sa hat k chalti hon zamanay ki rewayat se

K jin pe bojh main daloon wo kandhay yaad rakhti hon

Main yu tu bhool jati hon kharashain talkh bataon ki

Mgar jo zakham gehray dai ravayye yaad rakhti hon

Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see
Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay
Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee
Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho
Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay
Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain
Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho
Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban
Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din
Naheen, magar kabhi kabhi 
koi apna nahin banta!!!

labon pay naam rakhnay say

dilon main yaad karnay say

har ik dharkan, har ik tarpan

kisi ke naam karnay say

koi apna nahin banta

tamam umar ki khushiyan

mohabbat ki sabhi ghariyan

kisi ko daan karnay say

ke ...us pay maan karnay say

koi apna nahin banta

woh pehlay piyar ki batain

rafaqat ki sabhi ratain

woh chahat ki sabhi rasmain

mohabbat ki sabhi qasmain

humaisha yaad rakhnay say

koi apna nahin banta

kisi tanha akaili raah guzar par

puranay say kisi boorhay shajar par

patthar say koi dil bananay say

aur

usmain apna or kisi ka naam sajanay say

koi apna nahin banta

ke jab......aankhain hi marr ja'ain

to phir sapna nahin banta

yeh jeewan daaan kar ja'ain

to bhi apna nahin banta

koi apna nahin banta..

koi apna nahin banta...
Mohabbat !!



Mairey Israar Per Aakhir

Bohat Majboor Ho Ker Aaj

Mujhey Apni Nigaahon Ki

Udaasi Sonp Di Uss Ne

Bohat Be-bas Bohat Tanha
Bohat Bikhri Mohabbat Ki
Haqeeqat Khol Di Uss Ne

Khalish Jo Uss Ke Dil Mein Thi

Woh Abb Mairi Amanat Hai

Shikasta Lehjey Ki Jitni Thakan Thi

Bol Di Uss Ne

Mairi Kahtir Mujhey Apni Mohabbat

Keh Nahin Paya

Magar Aaj Apney Aansoo Say Mohabbat

Tol Di Uss Ne…..!
Main udasian na saja sakoon

kabi jism-o-jan k mazar pay.

Na diay jalain meri aankh main

mujay itni sakht saza na dai.

Zara dhaikh phool ki pation nay

bikhar bikhar k tamam shab

Tera naam likha hai rait par

koi laihar aa k mita na dai.

Mairay sath chalnay k shoke main

bari dhoop sar pay uthay ga.

Tiara naak naksha hai moom ka

kahein ghum ki aag ghola na dai.

Main gazal ki shabnami aankh say

yah dukhoon k phool chuna karoon.

Meri sultanat mera fun rahay

Mujay taj-o-takht khuda na dai

Tjhe zindagi ka shaoor tha TERA KIA BANA?

Tu khamosh kio he mjhe bta TERA KIA BANA?

Wo jo naseeb se teri jang thi meri b thi..

Me to kamyaab na ho ska TERA KIA BANA?

Nai mamzilo ki talash thi so bichar gae..

Main bichar k tjhse bhtk gya TERA KIA BANA?

Main muqabley me shareek tha faqt is liye..

Koi mujhse a k pochta TERA KIA BANA?

Mjhe ilm tha k shikast mera naseeb he..

Tu umeed war tha jeet ka TERA KIA BANA ?
Khud ko dil mein basane ki ijazat de do..
Mujh ko tum apna banane ki ijazat de do..
Tumhari zindagi ka ek haseen lamha hon..
Phoolon se khud ko saajane ki ijazat de do..

Mein kitna chahta hon, kis tarhan bataon tmhe..

Muje ye batane ki ijazat de do..

Tumhari chand si ankon mein chand sa chehra hai..

Muje ye sham sajane ki ijazat de do..

Muje qaid kar lo apni bahon mein..

Ya phir khud ko qaid karny ki ijazat de do..

The Claiming of Sleeping Beauty B Anne Rice

Beauty's Punishment By Anne Rice

The Second of the Classic Erotic Trilogy of Sleeping BeautyThis sequel to The Claiming of Sleeping Beauty, the first of Anne Rice's elegantly written volumes of erotica, continues her explicit, teasing exploration of the psychology of human desire. Now Beauty, having indulged in a secret and forbidden infatuation with the rebellious slave Prince Tristan, is sent away from the Satyricon-like world of the Castle. Sold at auction, she will soon experience the tantalizing punishments of "the village," as her education in love, cruelty,

Blackwood Farm by Anne Rice

Queen Of The Damned by Anne Rice

The Vampire Armand by Anne Rice

The Vampire Lestat (The Vampire Chronicles series) by Anne Rice

Lestat is a vampire, but not one of the conventional undead. He is vivid, esctatic, stagestruck, and in his extravagant story he plunges from the Rome of Augustus to the demonic Egypt of prehistory, and from fin-de-siecle New Orleans to the frenetic world of 20th-century rock stardom.

Beauty 's Release by Anne Rice

Adolf hitler

Angelina Jolie A BIOGRAPHY