koi apna nahin banta!!!

labon pay naam rakhnay say

dilon main yaad karnay say

har ik dharkan, har ik tarpan

kisi ke naam karnay say

koi apna nahin banta

tamam umar ki khushiyan

mohabbat ki sabhi ghariyan

kisi ko daan karnay say

ke ...us pay maan karnay say

koi apna nahin banta

woh pehlay piyar ki batain

rafaqat ki sabhi ratain

woh chahat ki sabhi rasmain

mohabbat ki sabhi qasmain

humaisha yaad rakhnay say

koi apna nahin banta

kisi tanha akaili raah guzar par

puranay say kisi boorhay shajar par

patthar say koi dil bananay say

aur

usmain apna or kisi ka naam sajanay say

koi apna nahin banta

ke jab......aankhain hi marr ja'ain

to phir sapna nahin banta

yeh jeewan daaan kar ja'ain

to bhi apna nahin banta

koi apna nahin banta..

koi apna nahin banta...

No comments:

Post a Comment