roshni mizaajon ka,
kya ajab muqadar hay..
zindagi k rastay main,
bichnay waalay kaanton ko..
raah say hataanay main,
aik aik tinkay say,
aashiyaan banaanay main,
khushboo'ain pakarnay main,
gulsitaan sajaanay main,
umr kaat detay hain..
or apnay hissay k phool baant detay hain..
kaisi kaisi khwaahish ko qatl kartay jaatay hain,
dar-guzar k rastay main abr kiye rehtay hain,
sabr k samandar main kashtiyaan chalaatay hain..
yeh nehi k in ko es roz-o-shab ki kaahish ka,
kuch silaa nehi milta..
marnay waali aason ka khoo'n bahaa nehi milta!
zindagi k daaman main jis qadar bhi khushiyaan hain,
sub he haath aati hain..
sub he mil bhi jaati hain..
waqt par nehi miltee'n..

waqt par nehi aatee'n..!
yaani in ko mehnat ka,
ajr mil to jaata hay..
lekin es tarha jaisay..
qarz ki raqam koi qist qist ho jaaye!
asal jo ebaarat ho,
pass-e-nosht ho jaaye!
fasl-e-gul k aakhir main,
phool in k khiltay hain..
in k sehan main sooraj..
dair say nikaltay hain...!! 

No comments:

Post a Comment