Wo jazbon ki tejarat ye dil kuch aur samja tha

usey hansne ki aadat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje us ne kaha aao nai dunya basate hain

usey soojhi shararat thi ye dil kuch aur samja tha,

Hamesha us ki ankhon main dhanak se rang hote thy

ye us ki aam halat thi ye dil kuch aur samja tha,

Wo mery paas bethi der tak ghazlen meri sunti

usey khud se mohabat thi ye dil kuch aur samja tha,

Mery kandhe per ser rakh ker kahin per kho gae thi wo
ye ik waqti enayat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje wo dekh ker aksar nigahen pher leti thi

ye dar_e_ parda haqarat thi ye dil kuch aur samja tha..!

No comments:

Post a Comment