"Yaad"

Youn Akele Main Woh Mujhy Yaad Aaye,
Jaise Bandy Ko Musibat Main Khud Yaad Aaye,

Jaise Bhatky Hue PAnchi Ko Nasheman Apna,
Jaise Apnon K Bicharny Py Dua Yaad Aaye,

Jaise Dhalti Hui Shamon Ko Sawera Koi,
Jaise Pinjry Main Parindy Ko Fizaa Yaad Aaye,

Jaise Boorhay Ko Khayalat Main Bachpan Apna
Jaise Bachy Ko Sharat Py Sazaa YAad Aaye,

Jaise Ujri Hui Basti Ko Zamana Apna,
JAise Toofan K Thehrny Py Diyaa Yaad Aaye..

03136309247
THOKAR LAGI  TO APNY MUQADDAR PY JA GIRA..
PHIR YOUN HUWA K AAINA PATHAR PY JA GIRA..

EHSAAS-E-FARZ JAB BHI HUWA MUJHY NEEND AA GAI..
CHALNA THA PUL SIRAAT PY BISTER PY JA GIRA..

BAZI MOHABBATON KI JAHALAT NY JEET LI..
WOH BAN GAYA KHATEEB JO MIMBER PY JA GIRA..

KHUSHBOO QASOOR WAAR NAHIN ISKO CHOR DO..
MAIN PHOOL TORTY HUWE KHANJAR PY JA GIRA..

SEHRAAON MAIN LIYE PHIRA  PANI KI JUSTAJU..
JAB PIYAAS BUJH GAI TO SAMANDER PY JA GIRA..

SHERE-E-TALAB MAIN ITNI HI AUQAT THI MERI..
SIKKY KI TARAH DAST-E GADA-GAR PY JA GIRA..

QANOON NY JO DHO DIYA MUJRIM KI AANKH SY..
WOH DAAGH BE-GUNAAH KI CHADDAR PY JA GIRA..

03136309247