mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa
mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e- jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa
mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
meri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa
jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa
humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa
merey aik gosha-e fikr main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa
mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
kaheen khoon-e dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa
mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa
humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah umr guzar gae
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa
No comments:
Post a Comment